Hello Friends,
Aaj ham.whatsapp ke bare me baat karenge. Abhi tak ham whatsapp kewal android phone par ya Tablate par hi chala pate the. Lekin aaj mai apko sikhaunga ki whatsapp ko Laptop Ya Computer me kaise install kare. Wo bhi bohat simple tarike se.
Isko Pc Ya laptop me run karne ke liye software ki jarurat padti hai. Aaiye start karte hai.

Whatsapp kaise install karte hai Hindi Me Jaankari

Sabse pahle aap ek kaam kare ki aap apna browser khole jo bhi aap use karte ho aur usme
www.youwave.com open kare.

Aapke man me hoga ki ye site kyo open kare . Toh aapko btana chahta hu youwave ek aisa software hai jiske madhyam se ham koi bhi software laptop me aasani se Run krwa skte hai.

Step-1
Aap jab youwave ki site par jaane ke baad aapko dowload ka option dikhega us option par click karke aap youwave software install kar le.

Step-2
Ab dowload karne ke baad use apne system me install kar le.

Step-3
Ab finish par click karne ke baad youwave open kare.

Ab apko is tarah ki picture dekhne ko milegi.

Step-4
Jaise hi aap Youwave open karenge to aapko menu ka option dikhega

Step-5
Aapko menu me search box dikhega
Aapko jo bhi software dowload karna aap waha par type kare (EG-whatsapp) search ke baad apke samne results aayenge. AApko jo software's install krne ho wo aap kar skte ho.

Youwave ki Adhik Jankari Ke Liye Aap Video Dekh Site ho




posted from Bloggeroid